pare se dekho to sirf khushbu qarib jao to ek nagar hai tilismi rangon se bhigte ghar nisai sanson se band galiyan khamosh mahlon mein khub-surat talai shaklon ki rang-raliyan kisi dariche ki chiq ke pichhe dahakte honton ki surkh kaliyan pare se takti har ek nazar us nagar ki rahon se be-khabar hai hinai-angusht ka ishaara lajai-ankhon ki muskurahat kabhi yunhi rah chalte ek reshmi dupatte ki sarsarahat siyah-raaton ko haule haule qarib aati hui si aahat ye sari rahen hain us nagar ki jo daimi aansuon ka ghar hai