main kaise bataun tum batao kis tarah ye din guzar rahe hain tauhin haqaraten tanaffur kis kis se nibah kar raha hun yun faiz-e-khirad se bahra-war hun har ek fareb-e-wahm taj ke is raat ye sochne laga hun main mo'taqid-e-panah hota itna to na ru-siyah hota shukr aur shikayaten duaen mere liye koi aastana tasir-dah-e-fughan nahin hai juz jabr-e-nafas ye zindagani tum ko to khabar hai kuchh nahin hai har rishta jahan ka iftira hai har jhut yahan ka haq-numa hai tum ko to khabar hai is jahan mein dil ka koi aashna nahin hai dil ka koi aasra nahin hai ek tum the so tum bhi chhup gae ho ab mera koi khuda nahin hai!