ja basa maghrib mein aakhir ai makan tera makin aah! mashriq ki pasand aai na us ko sarzamin aa gaya aaj is sadaqat ka mere dil ko yaqin zulmat-e-shab se ziya-e-roz-e-furqat kam nahin taz aaghosh-e-wida'ish dagh-e-hairat chida ast ham-chu sham-e-kushta dar-chashm-e-nigah khwabida ast kushta-e-uzlat hun aabaadi mein ghabraata hun main shahr se sauda ki shiddat mein nikal jata hun main yaad-e-ayyam-e-salaf se dil ko tadpata hun main bahr-e-taskin teri jaanib daudta aata hun main aankh ko manus hai tere dar-o-diwar se ajnabiyyat hai magar paida meri raftar se zarra mere dil ka khurshid-ashna hone ko tha aaina tuta hua aalam-numa hone ko tha nakhl meri aarzuon ka hara hone ko tha aah! kya jaane koi main kya se kya hone ko tha! abr-e-rahmat daman-az-gulzar-e-man barchid-o-raft andkai bar-ghuncha hae aarzu barid-o-raft tu kahan hai ai kalim-e-zarra-e-sina-e-ilm! thi teri mauj-e-nafas baad-e-nashat-afza-e-ilm ab kahan wo shauq-e-rah-paimai-e-sahra-e-ilm tere dam se tha hamare sar mein bhi sauda-e-ilm shor-e-laila ko ki baz-araish-e-sauda kunad khak-e-majnun-ra ghubar-e-khatir-e-sahra kunad khol dega dasht-e-wahshat uqda-e-tadir ko tod kar pahunchunga main punjab ki zanjir ko dekhta hai dida-e-hairan teri taswir ko kya tasalli ho magar girwida-e-taqrir ko tab-e-goyai nahin rakhta dahan taswir ka khamushi kahte hain jis ko hai sukhan taswir ka
This is a great punjabi shayari in english. True lovers of gulzar shayari on sharab will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore pyaar aur paisa shayari. Please share if you liked this!!!