meri jaan ye muddat se main jaanti hun tumhaara ye dil koi patthar nahin hai dhadakta to hai is ki dhadkan mein lekin kahin koi lamha mere nam par khatm hota nahin hai tumhaari ye aankhen chhalakti hain lekin ye aansu jo palkon pe thahre hain in mein koi bhi to meri judai mein tapka nahin hai base hain kai khwab in mein ye sach hai magar ek bhi khwab mere tasawwur se aabaad kab hai tumhaare labon par ye naghme bhala kab meri shan mein hain ye main jaanti hun kahin dur imli ke ek ped ki ot se koi unchi haweli ke kothe se malhaar ga kar bulata hai tum ko jise sun ke tum muztarib aur bechain hote ho behad meri jaan mujh se ye jhuti mohabbat ka izhaar karne pe phir itne majbur kyon ho main sach kah rahi hun agar laut kar tum chale bhi gae us sada par mujhe gham na hoga buzurgon ki khwahish pe tum ne meri mang mein ye jo afshan bhari hai qasam hai isi ki ki mathe pe mere tumhaara hi to nam likkha rahega jo mil-jul ke hum ne kabhi bhi kahin bhi kisi ped ki jad mein likkha nahin tha