asli japani do nali nana ki banduq nirali kanda is ka mat-maila sa rup darawna surat kali nana ji is ke rasiya the nani thi is ki matwali lete the is se jo nishana jata tha wo aksar khali chidiyon ka jina dubhar tha chhupti thin wo dali dali nana ji ek roz gae the dekhne jab mela waishaali nani ko samjha ke gae the karni thi is ki rakhwali sari raat guzari bahar mele ki thi shan nirali ghar par raat ko daku aae tod ke raushan-dan ki jali nani ko pistaul dikha kar le bhage banduq kamali shor machati pichhe daudin wo thin diler badi dil wali halla sun kar log bhi daude le kar ballam aur bhujali chor hue tab nau do gyarah chhod gae banduq misali nana ke ghar isi khushi mein agle roz mani diwali nani ji ne isi khushi mein ghar ghar bheji khir ki thaali