qaum ne paigham-e-gautam ki zara parwa na ki qadr pahchani na apne gauhar-e-yak-dana ki aah bad-qismat rahe aawaz-e-haq se be-khabar ghafil apne phal ki shirini se hota hai shajar aashkar us ne kiya jo zindagi ka raaz tha hind ko lekin khayali falsafe par naz tha sham-e-haq se jo munawwar ho ye wo mahfil na thi barish-e-rahmat hui lekin zamin qabil na thi aah shudar ke liye hindostan gham-khana hai dard-e-insani se is basti ka dil begana hai barahman sarshaar hai ab tak mai-e-pindar mein sham-e-gautam jal rahi hai mahfil-e-aghyar mein but-kada phir baad-e-muddat ke magar raushan hua nur-e-ibrahim se aazar ka ghar raushan hua phir uthi aakhir sada tauhid ki punjab se hind ko ek mard-e-kaamil ne jagaya khwab se