sunte the gunahon ki intiha zamin par had se jab badh jaegi to qayamat barpa hogi barsegi aag aaega sailab qudrat ka qahr nazil hoga allah rahm kare aaj is haul-nak daur se guzar rahe hain hum jahan zamin ke har khitte mein tukdon tukdon mein zindagi ho rahi hai tabah kahin jang kahin wahshat kahin bhuk kahin dahshat gunjte dhamake bahte dariya lahu ke maut ke qahqahe yahan se wahan talak zahrili fazaon mein bebasi hi bebasi goya sab kuchh apne ikhtiyar se be-qabu ab aur kis shakl mein aaegi qayamat