qalb-e-zamin ki gahraiyon mein nashw-o-numa ki angdaiyon mein soya hua tha aahang-e-hasti mitti ki tah mein manus pasti baran ke qatre ris kar baras kar bole lahak ja ru-e-zamin par suraj ki garmi chhan-chhan ke aai boli uth ja le raushnai thandi hawaen nazdik ja kar kahne lagin ye us ko jaga kar uth ja re nanhe uth lahlaha ja uth ankhdiyon mein bas ja sama ja zauq-e-numu ne rup nikala bal kha ke uttha nanha sa pauda mal mal ke aankhen hairat se dekha aakash dharti kohsar dariya har samt dekhin dilkash adaen duniya ki halchal rangin fazaen lahra gaya wo fart-e-khushi se ab us ne jaane gur zindagi ke