tera nanha sa qasid jo tere khat le kar aata tha na tha malum use kis tarah ke paigham lata tha samajh sakta na tha wo khat mein kaise raaz pinhan hain huruf-e-sada mein kis hashr ke andaz pinhan hain use kya ilm in rangin lifafon mein chhupa kya hai kisi mahwash ka in ke bhejne se muddaa kya hai magar mujh ko khayal aata tha akasr us zamane mein ki us ki hairat-e-tifli hai kyun gum us fasane mein wo bain kam-sini kya ye na dil mein sochta hoga ki baji ne hamari apne khat mein kya likha hoga aur aakhir wo usi ko nama likh kar bhejti kyun hain kabhi bheja to bheja lekin akasr bhejti kyun hain wo pahle se ziyaada bhai ko kyun pyar karti hain lifafa de ke lutf-e-khas ka izhaar karti hain phir aaise ajnabi par us ki baji mehrban kyun hain agar hain bhi to ghar walon se ye baaten nihan kyun hain aur us ke shubhe ki is se bhi to taid hoti hai chhupa kar khat ko le jaane ki kyun takid hoti hai? ye nau-khez ajnabi jaane kahan se akasr aata hai jab aata hai to baji ki tarah khat likh ke lata hai azizon ki tarah ye kyun makan mein aa nahin sakta jab us se puchhta hai wo use samjha nahin sakta khilaune de kar us ko muskura deta hai wo akasr aur ek halka sa thappad bhi laga deta hai wo akasr tere qasid ke ye afkar dil ko gudgudate the aur apne bholpan se mere jazbon ko hansate the nahin mauquf inhi ayyam par jab bhi khayal aaya tasawwur tere baad us ka bhi naqsha samne laya magar aaj is tarah dekha hai wo naqsh-e-hasin main ne ki rakh di khak-e-hairat par mohabbat ki jabin main ne wahi nanha sa qasid naujawan ho kar mila mujh ko zamane ke taghayyur ne pareshan kar diya mujh ko junun-e-ibtida-e-ishq ne karwat si li dil mein pas-az muddat ye le ke aa gai phir apne muhmal mein tere qasid se milte waqt mujh ko sharm aati thi magar us ki nigahon mein shararat muskuraati thi shararat ka ye nazzara meri hairat ka saman tha ki is parda ke andar tera raaz-e-ishq uryan tha