dilon mein pyar jagane ko id aai hai hanso ki hansne hansane ko id aai hai masarraton ke khazane diye khuda ne hamein tarane shukr ke gane ko id aai hai mahak uthi hai faza pairahan ki khushbu se chaman dilon ka khilane ko id aai hai khosha ki shir-o-shakar ho gae gale mil kar khulus-e-dil hi dikhane ko id aai hai utha do dosto is dushmani ko mahfil se shikayaton ke bhulane ko id aai hai kiya tha ahd ki khushiyan jahan mein batenge isi talab ke nibhane ko id aai hai