shahsawar nanha-munna shahsawar istada hai khamida pusht par meri jun-hi jhukta hun wo targhib deta hai mujhe chalne ki aawazon ki sargam se main chalta hun main wamanda qadam chalta hun wo mahmez ki jumbish se kahta hai ki daudo aur daudo, tez-tar, sarpat chalo baad-e-naghma-kar se baaten karo us ka main rakhsh-e-raza tez-tar karta hun raftar-e-khiram mujh ko pahunchana hai aaj us ko rangon titliyon ke des mein jadu-nagar mein mere sae ka bhi ab shayad jahan muntazir koi nahin muntazir hain us ke lekin, mere nanhe dost ke dew-qamat sabz warafta-waqar dur tak sargoshiyan karte hue ashjar raqs-e-barg-o-bar ja raha hai khwab ki raftar se diwana-war mera nanha shahsawar the little rider