shaikh-zaman-shadani aao khwab dekhte hain yaad nagar mein sae phirte hain tanhai siskari bharti hai apni duniya tariki mein dub chali bahar chal kar mahtab dekhte hain shaikh-zaman-shadani aao khwab dekhte hain hum se pahle kaun kaun se log hue jo sahil par khade rahe jin ki nazren pani se takra takra kar tut tut kar bikhar gai hain bikhar gai hain aur pani ka sabza hain is sabze ke pichhe kya hai aaj aqab mein chhupe hue gardab dekhte hain shaikh zaman shadani aao khwab dekhte hain