nannhi munni pyari 'farhat' hai man bap ke dil ki rahat shauq se maktab jati hai wo ji padhne mein lagati hai wo ustani ji ki hai wo pyari man ki hai wo raj-dulari khub sabaq farfar hai sunati maktab se inam hai pati man jo sabaq sunti hai ghar par pyar se karti khush ho ho kar bap hai lata waste us ke chizi kapde gudiyan khilaune aur bhi shauq se padhti hai wo padhne mein yun badhti hai wo ladkiyon ko wo chhod ke pichhe sab se nikal jati hai aage itne number wo hai pati dang hai ustani rah jati bachchiyo tum bhi shauq se padhna agli jamaat mein yun chadhna madrasa bhar mein nam bhi pao lo shabash inam bhi pao ji padhne mein khub lagana tum bhi 'farhat' ban ke dikhana