safar mein pesh koi hadisa bhi mumkin hai zara se der mein aah-o-buka bhi mumkin hai mera wajud kabhi be aman na ho jae ye jism mar ke kahin be-nishan na ho jae mera pata na chale kuchh meri khabar na mile guzar hua tha jahan se wo rahguzar na mile shikar ho gaya jab marg-e-na-gahani ka khayal aaega logon ko tab nishani ka naqab jitne hain mere wo noch dalenge parat utarenge chehra kharonch dalenge yahi sabab hai ki jab bhi main ghar se jata hun kuchh ehtimam isi dar se kar ke jata hun na koi naqsh na tahrir apni rakhta hun main apni jeb mein taswir apni rakhta hun