mohalle ka jo rakhwala tha us ne aadatan lathi baja kar balghami aawaz se nara lagaya jagte rahna mere akhbar wale ne idhar mamul se hat kar mujhe aawaz de kar roz ka akhbar dala yahi kuchh dudh wale ne kiya aur pheri wale ne main sau kar subh jab utha to un masum logon ne ishaaron aur kinayon se mujhe chaha batana aur samjhana jo shayad ek zamane ko pata tha ma-siwa mere ki mere nam ki takhti se mera nam ghaeb hai ba-zahir faisla saib hai in taza khudaon ka hamare na-khudaon ka magar ye bhi unhen malum to hoga jo khaliq hai zamin-o-asman ka wo jo malik hai raqam taqdir karta hai wahi tahrir karta hai nahin mumkin mitana meri jaisi aajiz-o-majbur hasti ke liye jo kuchh bhi wo tahrir karta hai jo wo taqdir karta hai yaqin mera mera iman hai us par ki meri lauh par sab kuchh usi tarah se kanda hai mere khaliq ne mere nam ko kal ki tarah se aaj bhi mahfuz rakkha hai wo mere nam ko kal bhi yunhi mahfuz rakkhega