naqsh-bar-ab

sal-ha-sal mohabbat jo bana karti hai
rishta-e-qalb-o-nazar palla-e-resham ki tarah

ek jhonka bhi hawadis ka use kafi hai
pahlu-e-gul mein dhadakti hui shabnam ki tarah

ye mohabbat ke banae hue aiwan-e-buland
ek thokar bhi zamane ki nahin sah sakte

aabgine ye bahut nazuk-o-na-rusta hain
mauj ki god mein ta-der nahin rah sakte

garm-raftar subuk-sair ke rahwar-e-hayat
aarzuon ke gharaunde ko ye dah de na kahin

talkh-tar jam ke hathon mein nizam-e-nau ke
khwab ki halawat ko de na kahin

ishq ke hath mein raushan hai jo nanha sa diya
aql ki tund hawa us ko bujha hi degi

tu ne dekhi hi nahin panja-e-usrat ki giraft
ruh ko qaid-e-tamanna se chhuda hi degi

gal hi jaegi kisi roz junun ki zanjir
waqt har khwab ki tabir bata deta hai

karwaten leta hai ehsas jo bedari ka
loriyan de ke umangon ko sula deta hai

naqsh-bar-ab hai wabastagi-e-husn-o-shabab
nikhat-e-gul ki tarah ishq hai paband-e-hawa

is se behtar tha ki mujh se tujhe nafrat hoti
phul murjhate hain kanta nahin murjha sakta

tir nafrat ka raha karta hai dil mein paiwast
shama ye tirgi-e-gham mein bhi tabinda rahe

dast-e-nafrat ki banai hui diwar-e-ada
sang-o-ahan ki tarah pukhta-o-painda rahe

azm ho jaenge afsurda irade mafluj
gosh lazzat-kash-e-gulbang-e-jalajil kyun ho

manzilen aur bhi kitni hain mohabbat ke siwa
ruh-e-azad giraftar-e-salasil kyun ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close