mere har lafz mein hai kausar-o-ganga ka lahu adab-o-fan hi hain bikhre hue mere gesu chaman-e-sharq mein raqsinda hain meri khushbu daulat-e-ilm se aabaad hai mera pahlu khun-e-dil se dur-e-shahwar kiye hain paida main ne har ahd main fankar kiye hain paida meri zulfon ko 'wali' ne bhi sanwara tha kabhi mujh ko 'haali' ne mohabbat se pukara tha kabhi 'shefta' ne meri kashti ko ubhaara tha kabhi 'mushafi' ne mere chehre ko nikhaara tha kabhi 'zauq'-o-'momin' ne mera saz bajaya barson 'dagh' ne apne kaleje se lagaya barson yaad to honge zamane ko wo 'insha'-o-'nazir' yaad to honge zamane ko wo 'mir' aur 'amir' yaad to honge zamane ko wo 'mehr' aur 'munir' yaad to honge zamane ko 'anis' aur 'dabir' mujh ko 'chakbast' ne 'jauhar' ne 'sharar' ne pala main hun jis ko ki shahanshah-'zafar' ne pala mere aaghosh mein pinhan hai mata-e-'sail' ab bhi 'simab' se raqsinda hai meri mahfil aaj bhi 'barq' se rakhshanda hai meri manzil ab bhi baqi hain 'firaq'-o-'jigar'-o-'saghar'-o'dil' apne hathon mein bahaaran ka uthae hue saz aaj bhi hai meri mahfil mein bala-nosh 'majaz' 'asghar'-o-'akbar'-o-'ahsan' ki bhi dam-saz hun main jis ko 'tulsi' ne bajaya tha wahi saz hun main aaj bhi 'kaifi'-o-'mahrum' ki aawaz hun main aaj bhi 'sahir'o-'sardar' ka eajaz hun main falsafa mere sahife mein hai hikmat bhi hai aarzu bhi mere aaghosh mein hasrat bhi hai ab bhi abbas ka parcham hai meri mahfil mein jada-paima hai 'niyaz' ab bhi meri manzil mein ab bhi kaam aata hai aazar meri mushkil mein 'azmi' aaj bhi khandida hai mere dil mein ab bhi zau-rezi-e-'akhtar' hai meri baaton mein aaj bhi kirshn ki murli hai mere hathon mein aaj be-kaif hun be-rang hun behaal hun main khud yaganon ki nigahon se bhi pamal hun main un se kah de ye koi aatish-e-sayyal hun main 'josh' ka josh hun 'iqbaal' ka iqbaal hun main mere aaghosh mein 'ghaalib' bhi hain 'sarshaar' bhi hain is nae daur ke aaghaz mein 'izhaar' bhi hain