roz jab subh ko apne ghar se nikalta hun main raste mein koi dost mil jae ya jaan-pahchan wala main badi garm-joshi se us ki taraf badh ke jata hun aadab karta hun aur muskuraata bhi hun (jaise main aaj ke din aur ghar pe sab khairiyat hai) mujh ko har har qadam par kai tarah ke log milte hain jo unchi dukanon pe baithe hue hain kai aise afrad main jaanta hun wo kitne ghabi hain magar kursiyon par date hain unhen log jhuk jhuk ke taslim karte hain (wo log jo un se behtar hain tahzib-o-shaistagi mein danish-o-agahi mein magar is ko kya kije un ki qismat mein wo khas kursi nahin hai ki jis par koi maskhara baith jae to us ko koi maskhara kah na pae main ye mahsus karta hun khud mere andar koi baitha hua kah raha hai: ji mein aati hai in maskharon par hansun khokhle aadmi jo bhi hain un se kah dun ki tum khokhle ho apni kursi pe baitha hua koi ahmaq unt ki tarah se bilbilae to kah dun ki kya bak rahe ho?