nargis aur bazgasht

hazaron sal se us ki bujhi aankhen
pur-nam hain

us murtaish paikar ke liye
jis ka aks

jhil ke shital jal ki lahron mein
murtaish hai

chaman mein koi dida-war paida ho ya na ho
bhala us se us ka kya lena dena

aur faza mein sirf dedh jumle gunj rahe hain
ghubar-e-ishq main tanha utha ke laya hun

aur bazgasht tanha utha ke laya hun
laya hun laya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close