khuda us qaum ko izzat nahin deta zamane mein jise qaumi buzurgon ka adab karna nahin aata yaqinan hoti hai marne se bad-tar zindagi us ki jise mulk-o-watan ke waste marna nahin aata buton ka khauf rakhta hai use larza ba-tan har-dam khuda ke khauf se jis shakhs ko darna nahin aata jawan mardon hi ka hai kaam qata-e-rah-e-hurriyat ki is manzil mein buzdil ko qadam dharna nahin aata muqaddar mein hai us ke umr bhar pamal-e-gham rahna jise pamali-e-millat ka gham karna nahin aata use zinda na samjho sans hai go jis ke sine mein magar aazadi-e-millat ka dam bharna nahin aata ba-qaul-e-hazrat-e-akbar fana mein hai baqa muzmar use jina nahin aata jise marna nahin aata