abhi abhi ek hawa ka jhonka jo tera lahja jo tere giton paheliyon ka amin ban kar samaaton ko hazar lafzon ki dastanen suna gaya hai abhi abhi be-karan sa lamha jo kitni sadiyon ka bojh uthae guzar gaya hai jo meri aankhon mein soe manzar jaga gaya hai abhi abhi tera ek sahifa ek ahd ban kar dayar-e-dil mein utar gaya hai mera badan reza reza ho kar bikhar gaya hai main dekhta hun ki nam tera zaban teri kalam tera zamin ki pasti se aasman ki bulandiyon tak har aane wale nisab lamhe ka peshwa hai main sochta hun ki tujh pe likkhun jo tujh pe likkha to harf mere hawa mein tahlil ho gae hain mein chahta hun ki tujh ko sochun jo tujh ko socha to zat teri paheliyon mein ulajh gai hai