narm aawazon se ek nili khamoshi hai rawan yak-ba-yak ud gae wo kale parind jin ke sayon se shuaon mein thi ek be-khwabi ab wahi khufta-mizaji wahi be-harf khumar narm aawazon ki thapki se ye sab hosh o hawas apne izhaar ke bahte hue dariya ki jagah barf ki jhil bane chikh jo naghma-e-azad si lahraati thi naghme mein gharq hui wasl ki shab mein wahi shama bani thartharaati hi rahi hont jo tegha-e-ejaz pe chaspan the wo sab ek sahafi ka qalam ban ke rahe be-mani narm aawazon ke sailab mein ai kash kabhi hadsa ho koi kashti kisi sahil se kahin takra jae phailti raat kabhi tharra jae