karunga fath koi sham to main utrunga ulajhti sans ke kikar se aur khwabon se raft-o-bud ke us par abad ke husn-e-hariri ke safed se phul apni palkon pe chun sakunga main main ban sakunga khud apna libas khud apna tar-e-nafas na sun sakunga koi lafz koi nazm aur koi aawaz sukut-e-zat mein lamhon ki chap tak na aaegi chamakte hosh-o-hawas thak chuken to sawad-e-sham mein soe hue shajar ke tale padaw dalte hain purani yaadon ke rangin parinde shajar se niche utarte hain udas aankhon ke purane ghar mein khayal-o-khwab ka malbus pahne aate hain main nanhe tifl ke manind unhen pakadne khuli nim ujli wadiyon mein daudta hun kahin pe pair phisalta hai aur dhadam se niche kali khaiyon mein dubta hun aankh khulti hai chahaar-samt andhera hai andhere mein sapedi koi rang koi libas nahin koi khushbu koi bas nahin badi hi der talak ghurte andhere mein rafta rafta ghule hain siyahi mujh mein aur main siyahi mein athah nind ke sahil pe sari umr ke dagh tamam nasl ke sare gunah dhulte hain magar hawas kahan chhodte hain jism ke rog sawere pahli kiran raushni ki jaise hi jhilmilati hai khwabida aankh kulbulati hai athah nind ke sahil pe dhup phailti hai dagh ujalon mein phir chamakne lagte hain sare gunah andheri ruh ke taqon pe phir charagh ki manind jalne lagte hain na sham fath hui aur na subh fath hui raat fath hui aur na baat fath hui wahi hun main wahi din raat aur wahi man-o-tu wahi zamana wahi yaaden aur wahi khwab nasha utarne pe wahi makhluq aur wahi duniya wahin hain motaren wahi raste wahi shahr aur wahi ganw wahi hai biwi wahi bachche wahi ghar aur wahi chhanw karunga fath koi sham to main utrunga tere kinare (mere ru-ba-ru) ki jahan na koi subh na sham aur na koi nind na khwab na koi rasta na manzil na koi ghar hai na ghat!