dekho gharib kitni zahmat utha raha hai galiyon mein bhid wali rickshaw chala raha hai mahrum hai agarche duniya ki neamaton se har bojh zindagi ka hans kar utha raha hai barsat mein bhi dekho phirta hua sadak par rickshaw bhi bhigta hai khud bhi naha raha hai garmi ki dhup mein bhi rukta nahin hai ghar mein pur-pech raston ke phere laga raha hai sardi se kanpta hai kapde phate hue hain thandi hawa se khud ko kaise bacha raha hai masti mein daudta hai rickshaw liye sadak par naghma koi surila ab gunguna raha hai rikshe ke pedalon par rakhe hain panw donon aankhen hain raste par ghanti baja raha hai man bap muntazir hain ghar par sabhi ke 'adil' bachchon ko ab wo lene school ja raha hai