dil tumhein yaad karta hai aa jao ki un raston par abhi tak tere qadmon ke nishan hain us raste ki dhul pagalon ki tarah teri judai ka bain karti hai aa jao dil tumhein yaad karta hai wo saya-dar shajar wo phulon ki daliyan jin ke niche hum ne kuchh lamhe sath guzare the aaj bhi teri yaad mein nam hain ek anmit sa sukut tari hai jo har chiz par tari hai tamam khushiyan hum par bhaari hain aa jao dil tumhein yaad karta hai hum zindagi se begane ho chale hain bichhad ke tujh se diwane ho chale hain roti hai mere sath hawa bikhar gae ho ke tum se juda aa jao dil tumhein yaad karta hai kab aaoge tab aaoge jab bujh jaengi aankhen meri jab tut jaengi sansen meri aa jao dil tumhein yaad karta hai ki in raston par abhi tak tere qadmon ke nishan hain