rang apne

ek diwar
aur us par wo mere naqsh-o-nigar

meri diwar pe dawa so ye dawa kaisa
ek diwar pe diwar ke rangon pe kahan khatm ye baat

ek pichkari ki hain mar ye sab naqsh-o-nigar
jao jaane do ise

aur khurach le jae
naqsh kya hai mere hathon ka taharruk hai bas

rang kya hain mere hathon mein dabi pichkari
shahr kya hai meri aankhon mein basi diwaren

rang mere hain lakiren hain meri mere qalam
rang dunga main zara der mein ye shahr tamam

naqsh kar dunga nigahon pe ye rangon ka fusun
aur rauzan nazar aaengi sabhi diwaren

ek diwar pe dawa so ye dawa kaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close