mujhe naron se raghbat hai wo mere khun ki hiddat ka bais hain wo meri zindagi ka juzw-e-la-yanfak hazaron sal se mere iradon hauslon aur walwalon ki dastanon mein numayan hain wo meri zat ke aaina-khane mein musalsal raqs karte hain zamane meri yaadon se phisal kar samne aae to main ek dasht-e-imkan se nikal kar muskura uttha mere atraf mein rangon ki barish thi hawaon mein khushi tahlil ho kar rahat-e-jaan thi khunuk pani ke chashme dudh ki nahren meri khwahish pe bahte the sabhi asmar mere ek ishaare par meri jholi mein aa girte har ek jaanib hasin phulon ke takhte the khiraman saaton ki be-karani mera hasil thi khiraman saaten lekin mujhe kab ras aai hain sukun la-hasili ka be-natija zindagi ka bab-e-awwal hai natija chahiye har shai ka ek aaghaz ek anjam hota hai usi lamhe meri aankhon pe ek kaunda sa lapka tha usi lamhe zaban par ek nara tha baghawat ka baghawat ka ki apni zat ke elan karne ka