din guzarte hain din kaise guzarte hain yun to sab hi din guzar jate hain jo zinda hain wo to guzarte hain zalil hote hue kabhi bhuk ke hathon kabhi chaaron taraf phaili un wabaon ki sarparasti mein jo khuda ban jati hain saffak be-rahmi ke libas mein gharon ki munderon par chalti hain chhalawon ki tarah chabaati hain maon ke kaleje chirti hain nanhe bachchon ka dil apni kisi ziyafat mein pesh karne ke liye apni hi jaisi balaon ko nahin rok sakta koi unhen wo bhi jo un ka khuda hai wo bulate hain apne khuda ko bhi is ziyafat mein shayad wo bhi insani gosht ka shauqin hai aur uksata hai unhen jab jab use ishtiha hoti hai un ka khuda sirf un ka khuda hai un ka nahin jin ke kaleje chabae ja rahe hain