mujh ko ye dar hai mere dost mere yar kahin gir na jae tere ashaar ka mear kahin dekh kar qadr-shanason ki tabi'at ka rang mar na jae tere andar ka kala-kar kahin puchhta kaun hai shair ya sukhanwar ko ab aaj ke daur mein kya hai bata azmat in ki dil ko chhu lete hain mana tere naghme lekin kya hai logon ki nazar mein bata qimat in ki puchh kar aa tu zara shahr ke bazaron se ek bhi jins-e-sukhan ka hai kharidar kahin sher ki jaanch-parakh to hai badi dur ki baat ab to mushkil se milen sher samajhne wale aise mahaul mein ashaar kahe kya koi is faza mein koi kya shauq sukhan ka pale qadr hi jab nahin is fan ki rahi kuchh baqi kya numaish kare fan apne ki fankar kahin aaj ki nasl adab aur wirasat bhuli agli pidhi to hai urdu zaban hi se mahrum kya sarahen wo tera fan tera andaz-e-bayan jin ko alfaz ke mani bhi nahin hain malum is faza se mujhe dar hai ki mutassir ho kar man le tu bhi na ai dost mere haar kahin