nazar-nazar mein dar kar dil-o-jigar pe war kar tu khud bhi be-qarar ho mujhe bhi be-qarar kar hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar hasin hai kis qadar hasin saman ye dekh ham-nashin ‘ufuq pe aasman se gale hai mil rahi zamin mujhe bhi bas isi tarah sanam tu ham-kanar kar hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar wo saghar-e-sharab ho ki bahr-e-‘ishq dil-ruba kahan hai tairne mein wo jo dubne mein hai maza tu dub-dub dub ja hijab sab utar kar hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar na fikr kar jahan ka na aan ka na ban ka tu ahl-e-shauq hai to kyon khayal jhuti shan ka jahan hua ‘adu to kya tu khud pe e’tibar kar hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar chhupa na raaz-e-'ishq ab jala na dil ko be-sabab na baith yun muhr-ba-lab bata de dil ki baat sab zaban se hai muhaal to nazar se aashkar kar hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar ya mujh ko tu samet le ya mujh mein tu simat sanam bhula bhula bhula sanam bhula de sare ranj-o-gham na fikr-e-rozgar kar tu sirf pyar pyar kar hai pyar gar gunah to gunah bar-bar kar