siyah-raat mein timtimate sitaron ke niche kharoshan samundar ki maujen tujhe dhundhti hain kharoshan hawa ki sadaon mein teri sada hai mera dil tujhe dhundhta hai siyah-raat ashkon ki shabnam mein soi hui hai har ek pal har ek lamha mazi ka zinda hai maujud mein jagta hai magar tera paikar tah-e-khak andheron ke maman mein soya hua hai mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai tujhe dhundhta hai main aasuda-e-reg-e-khamosh us raat ki jalti aankhon ko dekhun siyah-raat mein timtimate hue un sitaron se puchhun kharoshan samundar mein duba hua chand kisi ajnabi sar zamin par tabassum-kunan hai nuqush-e-kaf-e-pa ki manzil kahan hai? yam-e-zindagi sail-dar-sail bahta hua ek lamhe ko ruk kar palat kar na dekhe siyah-raat mein timtimate sitaron ke niche faqat ek shab be-sada jagti hai shab-e-be-sada puchhti hai bipharti hui mauj-e-dariya kidhar se chali thi? kidhar ko chali hai? mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai kise dhundhta hai