pani aurat aur ghalazat aksar khwabon mein aate hain mujh ko pareshan kar jate hain aurat ek hayula surat kabhi ajanta ki wo murat kabhi kabhi japani gudiya kabhi wo ek sagar shahzadi aab-e-rawan ke dosh pe leti maujon ke halkore khati sanp ki aankhon mein angara us ki har phunkar mein wahshat apne har andaz mein dahshat kabhi wo mujh par hamle karta kabhi main us ke sar ko kuchalta dhan ke khet mein thahra pani dariyaon mein bahta pani lahraata bal khata pani tughyani mein bhanwar banata sailabon mein shor machata ghazab mein phailta badhta pani kodon ke dheron ke jaisa unche niche tilon jaisa milon ke raqbe mein phaila dekhta hun insani fuzla kabhi to main pata hun khud ko apni ghalazat mein hi luthda kabhi main apne hathon se hi ghar se bahar phenkta dekhun apne ghar walon ka fuzla kabhi kamod mein tairta dekhun kabhi to mez pe khane ki hi kabhi kisi duje kamre mein aksar apne kamre mein bhi apne bistar par hi dekhun ya phir dur khalaon ke aangan se apne ghar mein ghusta dekhun khwabon ka asrar hai kaisa khwabon ki lazzat hai kaisi jin mein jakda sochta hun main waqai ye sab khwab hain yawar khwab-numa koi bedari ya be-manzil rasta koi ya phir ek tilism hai koi ek din phir aisa hota hai sanp aurat ko das leta hai pani mein ghalazat mil jati hai ab bas sanp hai aur ghalazat par ye shayad khwab nahin