barson ki riyazat ke baad zindagi ke tamam numayan usulon ke faulad bante hue se daeron ko tod kar thik dil ke bichon-bich ek inch chhed karne ki kaamyab training hum ne le li hai aur ab to jis thaali mein khate hain us mein chhed karne ka gur bhi hamein aa gaya hai mana ki darindon ke bhi shikar karne ke apne usul hote hain thande aur garm gosht ki unhen bhi tamiz hoti hai ek hum hain ki kis darja kamtar ho gae hain phir bhi hamari afzaliyat har jagah barqarar hai ki hum ashraf-e-makhluq kahlate hain lekin aaj hamein ye e'tiraf karna hi padega ki concrete ke bane is jangal mein haiwan-e-natiq se kahin behtar ye jangali suar hote hain