chandi ki anguthi pe jo sone ka chadha jhol ochhi thi lagi bolne itra ke bada bol ai dekhne walo tumhi insaf se kahna chandi ki anguthi bhi hai kuchh gahnon mein gahna chandi ki anguthi ke na main sath rahungi wo aur hai main aur ye zillat na sahungi main qaum ki unchi hun bada mera gharana wo zat ki ghatiya hai nahin us ka thikana meri si kahan chashni mera sa kahan rang wo mol mein aur tol mein mere nahin passang meri si chamak us mein na meri si damak hai chandi hai ki hai rang mujhe is mein bhi shak hai ye sunte hi chandi ki anguthi bhi gai jal allah-re mulamme ki anguthi tere chhal-bal sone ki mulamme pe na itra meri pyari do din mein bhadak us ki utar jaegi sari kuchh der haqiqat ko chhupaya bhi to phir kya jhuton ne jo sachchon ko chadhaya bhi to phir kya mat bhul kabhi asal tu apni ari ahmaq jab taw diya jaega ho jaega munh faq sachche ki to izzat hi badhegi jo karen jaanch mashhur masal hai ki nahin sanch ko kuchh aanch khone ko khara ban ke nikharna nahin achchha chhote ko bada ban ke ubharna nahin achchha