han to main aap se kahta tha janab zindagi jabr ki paband nahin rah sakti aur naddi usi dhaare pe nahin bah sakti jis mein mazi ki chitaon ke siwa jis mein marghat ki hawaon ke siwa aur to kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin hai shayad aap be-kar meri baat pe jhunjhlate hain kaun kahta hai ki mazi ko bura kahta hun main kahun ye kisi dushman ne udai hogi main to kahta hun ki tarikh ke sine se sharare le kar apni duniya ke khas-o-khar jala hi dunga zindagi ke sabhi aqdar samajh leta hun 'mir' aur 'dard' ke ashaar samajh leta hun main ne us shama ki lo aur badha hi di hai apne mahaul mein ghaalib ne jalaya tha jise main to iqbaal ki azmat ki qasam khata hun aap be-kar meri baat pe jhunjhlate hain baat itni hai ki main un ki hi buniyaadon par ek nae ahd ki taqdir banane ke liye ek nae waqt ki taswir banane ke liye kuchh nae saz baja leta hun main pujari hun mohabbat ke usulon ka magar ishqiya sher mujhe yaad nahin jin mein sethon ko nawabon ko maza aata hai jin ko pazeb ki jhankar nigal jati hai mujh ko masnui mohabbat nahin bhati lekin main ne insan ki pasti ka nishan dekh liya kar-khanon ka dhuan dekh liya saikdon sae bhatakte hue larzan tarsan baal uljhe hue mathe pe lakiren raqsan apne kandhe pe uthae hue tarikh ka bojh apne hathon se chalate hue tahzib ki naw bhuk se panw to uthte nahin par uthte hain aur malik ki tijori hai bhari jati hai ek malik ke hazaron hain ghulam jis tarah saikdon bandon ka faqat ek khuda aur usi ek hi malik ka wajud aur usi ek khuda ka paikar han to main aap se kahta tha janab lijiye aap to munh phir chuke so bhi gae