barson se ye baam-o-dar ki jin par mahki hui subh ke hain bose yaadon ke yahi nagar ki jin par sajte hain ye sham ke dhundalke ye mod ye rahguzar ki jin par lagte hain udasiyon ke mele hain mere aziz mere sathi kab se mera aasra rahe hain sunte hain ye mere dil ki dhadkan jaise ye mujhe sikha rahe hain hans-bol ke umr kat dena mere yahi dast-o-pa rahe hain barson se ye meri zindagi hain barson se main in ko jaanta hun hain meri wafa pe ye bhi nazan har baat main in ki manta hun lekin mere dil ko kya hua hai main aaj kuchh aur thanta hun lagta hai ye shahr-e-dil-baran bhi hai panw ki mere koi zanjir bas ek hi raat ek din hai har roz wahi purani taswir har subh wahi purane chehre ho jate hain sham ko jo dil-gir ab aur kahin se chal ke dekhen kis tarah sahar ki narm kaliyan kirnon ka salam le rahi hain jag uthti hain kis tarah se galiyan sab kaam pe aise ja rahe hain jaise ki manaen rang-raliyan dekhen kahin sham ko nikal kar dhalte hue ajnabi se sae yun hath mein hath le rahe hon jaise kahin ghas sarsarae is tarah se panw chal rahe hon jaise kai pi ke ladkhadae aane hi ko hon milan ki ghadiyan suraj kahin gham ka dubta ho mahki ho kahin pe shab ki dulhan kachnar kahin pe khil raha ho har gam pe ek naya ho aalam har mod pe ek naya khuda ho