farwari phulon ki gadi pe sawar aati hai march aata hai to baghon mein bahaar aati hai hum ne balla jo ghumaya to kai bhag liye ek chauke hi mein april may bhag liye tez garmi ne pasine mein nahaya hum ko june july ne do mah sataya hum ko ye khabar le ke august aur sitambar aae imtihanon mein badi shan ke number aae yaad karte hain sabaq lete hue bistar mein likhne padhne ka maza aata hai october mein yaad rah rah ke hamein das ka pahada aaya jab bhi aaya hai nowember hamein jada aaya garm muffler se jo kanon ko chhupaya hum ne taliyan de ke december ko bhagaya hum ne phir nae sal ka matlab hamein samjhati hai january sabz dupatte mein chali aati hai