chalo naya ek jahan basa len jahan har insan ho barabar na koi uncha na koi nicha na koi gora na koi kala kisi ki dadhi kisi ki choti se farq hota na ho jahan par jahan ki mazhab agar ho koi to wo ho insaniyat ka mazhab kare hukumat to bas mohabbat na koi ranjish na koi nafrat khulus ko marne se bacha len chalo naya ek jahan basa len main baat karta hun is jahan ki jo is jahan mein nahin hai shayad wo jis ke bare kahaniyon mein padha tha shayad suna tha shayad wo jis mein har shakhs ek sa ho bura bhi ho gar to nek sa ho jahan ki har koi dusre ke lahu ki qimat samajh raha ho jahan kisi ka na qatl hota ho zat mazhab ka nam le kar wahin kahin apni ja bana len chalo naya ek jahan basa len main sochta hun kahan milega jahan wo jis mein ho sirf insan na koi wahshi na ho darinda jahan ki aurat ki aabru ko na noch kar koi kha raha ho ki koi wahshat ka raqs kar ke na mard khud ko bata raha ho jahan ki mahfuz khud ko samjhe har ek hawwa har ek yashoda har ek mariyam har ek sita ye farz hai hum use nibha len chalo naya ek jahan basa len main jaanta hun ki aisi duniya hai dhund pana bahut hi mushkil ya yun bhi kah len nahin hai mumkin wo is liye kyon ki aadmi ab ghaliz kidon se bhi bura hai jo apni had se guzar chuka hai aur ek duje ko kha raha hai bashar ka matlab bhula raha hai ki khud ko haiwan bana raha hai na jaane kis samt ja raha hai hum is jahannam se jaan chhuda len chalo naya ek jahan basa len