kisi ka hukm hai sari hawaen hamesha chalne se pahle bataen ki un ki samt kya hai kidhar ja rahi hain hawaon ko batana ye bhi hoga chalengi ab to kya raftar hogi hawaon ko ye ijazat nahin hai ki aandhi ki ijazat ab nahin hai hamari ret ki sab ye fasilen ye kaghaz ke mahal jo ban rahe hain hifazat un ki karna hai zaruri aur aandhi hai purani in ki dushman ye sabhi jante hain kisi ka hukm hai dariya ki lahren zara ye sar-kashi kam kar len apni had mein thahren ubharna phir bikharna aur bikhar kar phir ubharna ghalat hai ye un ka hangama karna ye sab hai sirf wahshat ki alamat baghawat ki alamat baghawat to nahin bardasht hogi ye wahshat to nahin bardasht hogi agar lahron ko hai dariya mein rahna to un ko hoga ab chup-chap bahna kisi ka hukm hai is gulistan mein bas ek rang ke hi phul honge kuchh afsar honge jo ye tai karenge gulistan kis tarah banna hai kal ka yaqinan phul to yak-rangin honge magar ye rang hoga kitna gahra kitna halka ye afsar tai karenge kisi ko ye koi kaise batae gulistan mein kahin bhi phul yak-rangin nahin hote kabhi ho hi nahin sakte ki har ek rang mein chhup kar bahut se rang rahte hain jinhonne bagh-e-yakrangin banana chahe the un ko zara dekho ki jab ek rang mein sau rang zahir ho gae hain to kitne pareshan hain kitne tang rahte hain kisi ko ye koi kaise batae hawaen aur lahren kab kisi ka hukm sunti hain hawaen hakimon ki mutthiyon mein hathkadi mein qaid-khanon mein nahin ruktin ye lahren roki jati hain to dariya kitna bhi ho pur-sukun betab hota hai aur is betabi ka agla qadam sailab hota hai