mujhe muaf karna hawaon ke pur-soz chehro ki main ne tumhaare falak-dar-falak tewaron ka sarab bhi paya nahin hai mujhe muaf karna sitaron ke sayo tumhaari siyahi ke bosida nuqton mein dhalne se ab tak main qasir raha hun ghayabon ki nazron se tanha baha hun mujhe muaf karna mohabbat ke hamil sarabo ki banhon mein aa kar basa hun tumhaari samundar ki ujdi sadaon ki surat kise dhundti hai meri be-zabani mujhe muaf karna abhi tak main ye jaan paya nahin hun mujhe muaf karna abad ke salasil mein jakdi hui sari chizo ki main waqt ki bund mein pyas ki tarah boya gaya hun zamanon ki aankhon se roya gaya hun main manzar kisi lamha mawara ka main ham-asr hun titliyon ke paron ka hawa ka khuda