naya ishq

khizan ke mausam ki pahli patjhad
hasin rangon sunahre patton ki rahguzar par guzishta barson

ka git sunne mein yun magan hai
khizan ke mausam ki pahli barish

bikharte khwabon ka dukh samo kar
baras rahi hai

shajar pe har su bikharti kirnen
yun tahniyon par sunahre aanchal

saja saja kar
numu ka sapna dikha rahi hain

ajib mushkil si aa padi hai
shajar ka ye dukh

naya nahin hai
mohabbaton ka naya yaqin bhi

naya nahin hai
khizan ka mausam jo mukhtasar hai

magar atal hai
ye kya ajab hai

ki wasl-o-furqat ki sarhadon par
jo ishq pal pal machal raha hai

sunahre patton ki sej par kuchh
nae se khwabon ka silsila hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close