nazm

tum chaak-gareban ho hum bhi tahi-daman hain
tum hum se gurezan ho hum tum se gurezan hain

tum nok-e-qalam jaanan ek nazm-e-fughan likkho
jo bol na pao wo sab harf-e-nihan likkho

kuchh harf-e-dua likho kuchh bahr-e-khuda likho
jo naqsh hue dil par wo naqsh-e-wafa likho

phir yaad karoge tum jab pas na hoegi
aaghosh-e-lahad mein jab dam-saz ye soegi

dohraoge sab baaten jo tum se kaha karti
jo sunti tumhaari bhi kuchh apni kaha karti

ilzam bhi tum doge phir gardish-e-dauran ko
aur yaad karoge is khamosh nigahban ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close