ek parinde ki surat main apni hi aazad chhoti si duniya mein thi khush-o-khurram to phir kya hua mujhe yaad hai khub achchhi tarah tum aae meri zindagi mein prism ek lae mujhe pesh kar di nae is khilaune ke sath main bachche ki manind khush thi khilaune se jab jhankti thi to duniya thi lagti badi khubsurat rang hi rang tha har taraf kabhi to wo qaus-e-quzah ko pakadne ki khwahish machalti thi mujh mein achanak hi wo pyara pyara khilauna kisi aur ko saunp dene ki khatir man chhin kar tum ne mujh se mujhe chhod dala alag ek parinde ki manind yaadon ke pinjre mein jakda hua