hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab talim na hogi jis mein kabhi sab aazadi se ghumenge ustad padhenge darjon mein hum log khushi se ghumenge school na ja kar baghon mein tafrih karenge be-matlab hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab padhne ke liye bachchon ko jahan murgha na banaya jaega chante na jamae jaenge dandon se na pita jaega ustad ke maula-bakhsh jahan dikhla na sakenge kuchh kartab hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab jo yaad karega khub sabaq ta-umr na hoga pas wahi jo khel mein lega dilchaspi padhne mein na hoga fail kabhi dar-asl hamare maktab ka hoga har ek dastur ajab hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab jis din bhi pada bimar koi school mein hoga holiday do bund bhi pani barsa to ho jaega fauran rainy day hafte mein to kam se kam chhe din itwar manaenge hum sab hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab khelenge kabhi jab hum cricket to khub udaenge chhakke hockey mein dikhaenge wo hunar rah jaenge sab hakke-bakke har team se matchen jitega hum logon ka footbaal club hum chand nagar par jate hi kholenge ek naya maktab