surkh batti ne ishaare se kaha hai bolo khoj nazron ka mita baat ke bandhan tute mere alfaz ko lahron ka koi paimana chhin le jaega duri ke bahane jhute munh se jo nikle usi baat se nata chhute dil mein baqi rahe mauhum sa ehsas-e-ziyan main ye sochun ki har ek dasht bhi aabaadi bhi mere alfaz ki tashhir ka dekhegi saman aur benam-o-nishan dekhi na bhaali lahren ek aalam meri baaton ka dhindhora piten