main khushbu jism samundar aankhon ka ek khwab chura kar laya tha main aag chura kar laya tha sahra-e-wajud ki tanhai us khwab se kitni shadan thi us aatish-e-larzan ki tabish takhliq ki zau mein numayan thi mera khwab wo mera phul badan mari aag mere farda ka chaman main khwabon se masrur raha main aatish par maghrur raha phir lahr uthi phir qahr hua mera khwab hi mujh ko zahr hua patthar ki chattanon par mujh ko zanjiron se wabasta kiya khud aag bhi ek zanjir bani zanjir bani shamshir bani har qais ne mujh ko ye paigham diya ye haal hamesha qaem hai is haal ka istiqbaal nahin is haal ki chakki mein tum ko har lamhe piste rahna hai tum kaise rihai paoge aisa to koi paida na hua jo tum ko rihai de aa kar tum khwabon se masrur hue jo boya tha wo katoge sab apne kiye ki khubi hai aamal ko apne bhugtoge koi nind nahin koi khwab nahin koi nur nahin koi nar nahin fariyaad tumhaari boli hai alfaz tumhaare aahen hain ek qahr-e-ghazab kargas ke liye hai jism tumhaara dastarkhawan wo dastarkhawan pe bikhri neamat se mafluj-o-siyah jigar ki lazzat se har lamhe lutf uthaega har lamhe shor machaega main khushbu jism samundar aankhon ka ek khwab chura kar laya tha main aag chura kar laya tha patthar ki chatanon ne mujh ko ek mufaffa gosht ka rup diya zanjiren girda-gird rahin ek qahr-e-ghazab kargas ab tak kabhi meri aankhen nochte hain kabhi un ki lahar-e-minqar se mere dil ki ragen ek ne ki hikayat chhedti hain jo mujh ko rihai de aa kar jo dard ko khud mahsus kare wo aisi jagah khwabida hai jahan suraj bhi tarik hua kya jaaniye wo kab aaega kab aaega kya waqai aaega