naya safar hai purane charag gul kar do

fareb-e-jannat-e-farda ke jal tut gae
hayat apni umidon pe sharmsar si hai
chaman mein jashn-e-warud-e-bahaar ho bhi chuka
magar nigah-e-gul-o-lala sogwar si hai
faza mein garm bagulon ka raqs jari hai
ufuq pe khun ki mina chhalak rahi hai abhi
kahan ka mahr-e-munawwar kahan ki tanwiren
ki baam-o-dar pe siyahi jhalak rahi hai abhi
fazaen soch rahi hain ki ibn-e-adam ne
khirad ganwa ke junun aazma ke kya paya
wahi shikast-e-tamanna wahi gham-e-ayyam
nigar-e-zist ne sab kuchh luta ke kya paya
bhatak ke rah gain nazren khala ki wusat mein
harim-e-shahid-e-raana ka kuchh pata na mila
tawil rahguzar khatm ho gai lekin
hanuz apni masafat ka muntaha na mila
safar-nasib rafiqo qadam badhae chalo
purane rah-numa laut kar na dekhenge
tulu-e-subh se taron ki maut hoti hai
shabon ke raj-dulare idhar na dekhenge
This is a great shahid kapoor shayari in hindi. True lovers of ibn e adam shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore raj movie shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close