talluqat ka afsun kuduraton ka ghubar dilon ka bughz, mohabbat ke daeron ka hisar masarraton ka har ek rang, gham ka har lamha guzarti mauj ke manind ubhar ke dub gaya khulus o mahr o adawat ki sari zanjiren palak jhapakne ki mohlat mein jal ke rakh huin na katne wale kathin din khayal o khwab hue na aane wale jo din the wo aa ke bit gae gham-e-firaq shab-e-intizar subh-e-visal bas ek gard-e-zamana muhit hai sab par ye subh-e-nau hai ki sham-e-hayat ki manzil ye ikhtitam-e-safar hai ki ibtida-e-safar
Please share if you liked this!!!