raat ki udti hui rakh se bojhal hai nasim yun asa tek ke chalti hai ki rahm aata hai sans leti hai darakhton ka sahaara le kar aur jab us ke libaade se lipat kar koi patta girta hai to patthar sa ludhak jata hai shakhen hathon mein liye kitni adhuri kaliyan mangti hain faqat ek narm si jumbish ki dua aisa chup-chap hai sanwlai hui subh mein shahr jaise mabad kisi murjhae hue mazhab ka sar pe apni hi shikaston ko uthae hue log ek dorahe pe girohon mein khade hain tanha yak-ba-yak fasle tanbe ki tarah bajne lage qadam uthte hain to zarre bhi sada dene lage dard ke pairhan-e-chaak se jhanko to zara murda suraj pe latakte hue maile baadal kisi tufan ki aamad ka pata dete hain!