dekho bhayya man bhi jao mera gharaunda yun na girao mehnat se hai main ne banaya apni gudiya ko hai bithaya dant ammi se khilwa dungi abba se main pitwa dungi mera gharaunda dhaya tum ne mera khel mitaya tum ne roti hun to hanste ho tum bade hi achchhe lagte ho tum main bhi gend tumhaari le kar phenkungi ab chhat ke upar rooge to khub hansungi koi khilauna tumhein na dungi achchha dekho munh na bisoro sari chizen aa ke sameto aao gharaunda phir se banaen gudiya gudda is mein bithaen aao kar den khatm ladai main hun bahan tum mere bhai